Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf

Farhat Ehsas

log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    log yuuñ jaate nazar aate haiñ maqtal taraf

    mas.ale jaise ravāna hoñ kisī hal taraf

    maiñ huuñ ik lafz tarastā huuñ magar ma.anī ko

    rashk se dekhtā huuñ tābe-e-mohmal taraf

    shahr vaale kabhī khīñch ke le aate haiñ

    mirā varna uḌā phirtā hai jañgal taraf

    be-ḳhabar haal se huuñ ḳhauf hai ā.inda

    aur āñkheñ haiñ mirī guzre hue kal taraf

    vo udāsī hai ki sab but se bane baiThe haiñ

    koī halchal hai to bas shahr ke pāgal taraf

    log yun jate nazar aate hain maqtal ki taraf

    masale jaise rawana hon kisi hal ki taraf

    main hun ek lafz tarasta hun magar mani ko

    rashk se dekhta hun tabe-e-mohmal ki taraf

    shahr wale hi kabhi khinch ke le aate hain

    ji mera warna uDa phirta hai jangal ki taraf

    be-KHabar haal se hun KHauf hai aainda ka

    aur aankhen hain meri guzre hue kal ki taraf

    wo udasi hai ki sab but se bane baiThe hain

    koi halchal hai to bas shahr ke pagal ki taraf

    Source:

    mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 47)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now