aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya

Saghar Siddiqui

mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya

Saghar Siddiqui

MORE BYSaghar Siddiqui

    mahfileñ luT ga.iiñ jazbāt ne dam toḌ diyā

    saaz ḳhāmosh haiñ naġhmāt ne dam toḌ diyā

    har masarrat ġham-e-dīroz unvān banī

    vaqt god meñ lamhāt ne dam toḌ diyā

    an-ginat mahfileñ mahrūm-e-charāġhāñ haiñ abhī

    kaun kahtā hai ki zulmāt ne dam toḌ diyā

    aaj phir bujh ga.e jal jal ke umīdoñ ke charāġh

    aaj phir tāroñ bharī raat ne dam toḌ diyā

    jin se afsāna-e-hastī meñ tasalsul thā kabhī

    un mohabbat rivāyāt ne dam toḌ diyā

    jhilmilāte hue ashkoñ laḌī TuuT ga.ī

    jagmagātī huī barsāt ne dam toḌ diyā

    haa.e ādāb-e-mohabbat ke taqāze 'sāġhar'

    lab hile aur shikāyāt ne dam toḌ diyā

    mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya

    saz KHamosh hain naghmat ne dam toD diya

    har masarrat gham-e-diroz ka unwan bani

    waqt ki god mein lamhat ne dam toD diya

    an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghan hain abhi

    kaun kahta hai ki zulmat ne dam toD diya

    aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh

    aaj phir taron bhari raat ne dam toD diya

    jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi

    un mohabbat ki riwayat ne dam toD diya

    jhilmilate hue ashkon ki laDi TuT gai

    jagmagati hui barsat ne dam toD diya

    hae aadab-e-mohabbat ke taqaze 'saghar'

    lab hile aur shikayat ne dam toD diya

    RECITATIONS

    Atir Ali Syed

    Atir Ali Syed,

    Atir Ali Syed

    mahfile.n luT ga.ii.n jazbaat ne dam to.D diyaa Atir Ali Syed

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now