aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main zard aag na pani ke sard Dar mein raha

Zafar Iqbal

main zard aag na pani ke sard Dar mein raha

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    maiñ zard aag na paanī ke sard Dar meñ rahā

    rahā to soī huī ḳhaak ke ḳhatar meñ rahā

    vo gard-bād ki dil zabāñ zā.iqa hai

    nazar-ufuq pe huvaidā huā na sar meñ rahā

    ki shāmil is meñ mirī larzish-e-ḳhayāl bhī thī

    jo asl chhoḌ ke maiñ aks ke asar meñ rahā

    tire libās pe ho us vāpsī chamak

    jo ek umr tire ḳhuun ke asar meñ rahā

    ghirā thā chāroñ taraf dhoḌ qanāt maiñ

    magan zamāna kisī naqsh-e-tar-ba-tar meñ rahā

    us ek lamhe gum-gashtagī pe ḳhush haiñ sabhī

    jo hashr ban ke mire sañg-e-be-sharar meñ rahā

    ye shahr zinda hai lekin har ek lafz laash

    jahāñ kahīñ se uThī shor mere ghar meñ rahā

    chapātiyāñ thiiñ bañdhī peT par magar shab-bhar

    ubhartā Dūbtā maiñ bhuuk ke bhañvar meñ rahā

    kahāñ se kaise kise kaun le uḌā thā 'zafar'

    jo aadhī raat ko raulā dasht o dar meñ rahā

    main zard aag na pani ke sard Dar mein raha

    raha to soi hui KHak ke KHatar mein raha

    wo gard-baad ki dil ki zaban ka zaiqa hai

    nazar-ufuq pe huwaida hua na sar mein raha

    ki shamil is mein meri larzish-e-KHayal bhi thi

    jo asl chhoD ke main aks ke asar mein raha

    tere libas pe ho us ki wapsi ki chamak

    jo ek umr tere KHun ke asar mein raha

    ghira tha chaaron taraf dhoD ki qanat sa main

    magan zamana kisi naqsh-e-tar-ba-tar mein raha

    us ek lamhe ki gum-gashtagi pe KHush hain sabhi

    jo hashr ban ke mere sang-e-be-sharar mein raha

    ye shahr zinda hai lekin har ek lafz ki lash

    jahan kahin se uThi shor mere ghar mein raha

    chapatiyan thin bandhi peT par magar shab-bhar

    ubharta Dubta main bhuk ke bhanwar mein raha

    kahan se kaise kise kaun le uDa tha 'zafar'

    jo aadhi raat ko raula sa dasht o dar mein raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now