aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai

Moid Rasheedi

makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai

Moid Rasheedi

MORE BYMoid Rasheedi

    makāñ se duur kahīñ lā-makāñ meñ baiTh ga.ī

    badan aag tilismāt-e-jāñ meñ baiTh ga.ī

    sulagtī dhuup meñ jal kar faqīr-e-shab tirī ḳhaak

    kyuuñ ḳhān-qāh-e-shab-e-be-karāñ maiñ baiTh ga.ī

    kyuuñ aaj dil ke haram meñ namāz-e-ġham na huī

    kyuuñ ek chup sadā-e-azāñ meñ baiTh ga.ī

    hamārī sub.h hujūm-e-balā nazr huī

    hamārī shaam bhī dasht-e-gumāñ maiñ baiTh ga.ī

    kisī jism shikār-e-nahañg-e-vaqt-e-ḳhizāñ

    kisī saañs fazā-e-girāñ meñ baiTh ga.ī

    kahīñ safar risālat kahīñ thakan hadīs

    ye kashmakash bhī 'rashīdī' dhuāñ meñ baiTh ga.ī

    makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai

    badan ki aag tilismat-e-jaan mein baiTh gai

    sulagti dhup mein jal kar faqir-e-shab teri KHak

    kyun KHan-qah-e-shab-e-be-karan main baiTh gai

    kyun aaj dil ke haram mein namaz-e-gham na hui

    kyun ek chup si sada-e-azan mein baiTh gai

    hamari subh hujum-e-bala ki nazr hui

    hamari sham bhi dasht-e-guman main baiTh gai

    kisi ka jism shikar-e-nahang-e-waqt-e-KHizan

    kisi ki sans faza-e-giran mein baiTh gai

    kahin safar ki risalat kahin thakan ki hadis

    ye kashmakash bhi 'rashidi' dhuan mein baiTh gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now