aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

Azad Gulati

mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    merā to naam ret ke sāgar pe naqsh hai

    phir kis naam hai jo tire dar pe naqsh hai

    pheñkā thā ham pe jo kabhī us ko uThā ke dekh

    jo kuchh lahū meñ thā usī patthar pe naqsh hai

    shāyad idhar se guzrā hai ik baar kabhī

    terī nazar lams jo manzar pe naqsh hai

    terā ḳhayāl mujh se go mil kar bichhaḌ gayā

    us mahak aks mire ghar pe naqsh hai

    mere ḳhatoñ ko rakh ke sirhāne vo so gayā

    jaagā to mere jism bistar pe naqsh hai

    ab is meñ jo bhī Dāliye amrit se kam nahīñ

    jo in laboñ pe thā vahī sāġhar pe naqsh hai

    jo zaḳhm ik nazar se milā thā vo bhar gayā

    dhuñdlā daaġh ruuh ke paikar pe naqsh hai

    ḳhanjar chalā thā mujh pe magar mo.ajaza hai ye

    qātil apnā ḳhuun ḳhanjar pe naqsh hai

    'āzād' kaun thā jo tahoñ meñ utar gayā

    kis hayāt hai jo samundar pe naqsh hai

    mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

    phir kis ka nam hai jo tere dar pe naqsh hai

    phenka tha hum pe jo kabhi us ko uTha ke dekh

    jo kuchh lahu mein tha usi patthar pe naqsh hai

    shayad idhar se guzra hai ek bar tu kabhi

    teri nazar ka lams jo manzar pe naqsh hai

    tera KHayal mujh se go mil kar bichhaD gaya

    us ki mahak ka aks mere ghar pe naqsh hai

    mere KHaton ko rakh ke sirhane wo so gaya

    jaga to mere jism ka bistar pe naqsh hai

    ab is mein jo bhi Daliye amrit se kam nahin

    jo in labon pe tha wahi saghar pe naqsh hai

    jo zaKHm ek nazar se mila tha wo bhar gaya

    dhundla sa dagh ruh ke paikar pe naqsh hai

    KHanjar chala tha mujh pe magar moajaza hai ye

    qatil ka apna KHun hi KHanjar pe naqsh hai

    'azad' kaun tha jo tahon mein utar gaya

    kis ki hayat hai jo samundar pe naqsh hai

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-056) (Pg. ebook-49 page-47)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now