Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila jo kaam gham-e-motabar banane ka

Saleem Ahmed

mila jo kaam gham-e-motabar banane ka

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    milā jo kaam ġham-e-mo'tabar banāne

    hunar us aañkh ko aayā na ghar banāne

    tujhī se ḳhvāb haiñ mere tujhī se bedārī

    tujhe salīqa hai shām-o-sahar banāne

    maiñ apne pīchhe sitāroñ ko chhoḌ aayā huuñ

    mujhe dimāġh nahīñ ham-safar banāne

    ye mere hāthoñ meñ patthar haiñ aur raat hai sard

    maiñ kaam letā huuñ un se sharar banāne

    sarā.e meñ koī ik shab ruke to baat hai aur

    magar savāl hai duniyā ko ghar banāne

    makāñ ke naqshe pe dīvār likh diyā kis ne

    yahāñ to merā irāda thā dar banāne

    ye aur baat ki manzil-fareb thā lekin

    hunar vo jāntā thā ham-safar banāne

    vo log kashtī o sāhil fikr kyā karte

    jinheñ hai hausla dariyā meñ ghar banāne

    har ek tuḳhm ko rizq-e-shikam-purī na samajh

    hunar bhī siikh zamīñ se shajar banāne

    bahut tavīl mirī dāstān-e-ġham thī magar

    ġhazal se kaam liyā muḳhtasar banāne

    mila jo kaam gham-e-mo'tabar banane ka

    hunar us aankh ko aaya na ghar banane ka

    tujhi se KHwab hain mere tujhi se bedari

    tujhe saliqa hai sham-o-sahar banane ka

    main apne pichhe sitaron ko chhoD aaya hun

    mujhe dimagh nahin ham-safar banane ka

    ye mere hathon mein patthar hain aur raat hai sard

    main kaam leta hun un se sharar banane ka

    sarae mein koi ek shab ruke to baat hai aur

    magar sawal hai duniya ko ghar banane ka

    makan ke naqshe pe diwar likh diya kis ne

    yahan to mera irada tha dar banane ka

    ye aur baat ki manzil-fareb tha lekin

    hunar wo jaanta tha ham-safar banane ka

    wo log kashti o sahil ki fikr kya karte

    jinhen hai hausla dariya mein ghar banane ka

    har ek tuKHm ko rizq-e-shikam-puri na samajh

    hunar bhi sikh zamin se shajar banane ka

    bahut tawil meri dastan-e-gham thi magar

    ghazal se kaam liya muKHtasar banane ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    mila jo kaam gham-e-motabar banane ka Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now