Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera KHurshid-ru sab mah-ruyan bich yakka hai

Taban Abdul Hai

mera KHurshid-ru sab mah-ruyan bich yakka hai

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    mirā ḳhurshīd-rū sab māh-rūyāñ biich yakkā hai

    ki har jalve meñ us ke kyā kahūñ aur jhamakkā hai

    nahīñ hone chañgā gar sulaimānī lage marham

    hamāre dil pe kaarī zaḳhm us nāvak palak hai

    ka.ī baarī binā ho jis phir kahte haiñ TūTegā

    ye hurmat jis ho ai shaiḳh kyā terā vo makka hai

    har ik dil ke ta.iiñ le kar vo chanchal bhaag jaatā hai

    sitamgar hai jafā-jū hai sharābī hai uchakkā hai

    na vaa.iz bātoñ par hamesha mai ko 'tābāñ'

    abas Dartā hai dozaḳh se ik shara.ī darakkā hai

    mera KHurshid-ru sab mah-ruyan bich yakka hai

    ki har jalwe mein us ke kya kahun aur hi jhamakka hai

    nahin hone ka changa gar sulaimani lage marham

    hamare dil pe kari zaKHm us nawak palak ka hai

    kai bari bina ho jis ki phir kahte hain TuTega

    ye hurmat jis ki ho ai shaiKH kya tera wo makka hai

    har ek dil ke tain le kar wo chanchal bhag jata hai

    sitamgar hai jafa-ju hai sharabi hai uchakka hai

    na ja waiz ki baaton par hamesha mai ko pi 'taban'

    abas Darta hai tu dozaKH se ek sharai darakka hai

    Source:

    Deewan-e-Taban Rekhta Website) (Pg. 146)

      • Edition: 1935
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now