Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

momin KHuda ke waste aisa makan na chhoD

Momin Khan Momin

momin KHuda ke waste aisa makan na chhoD

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    'momin' ḳhudā ke vāste aisā makāñ na chhoḌ

    dozaḳh meñ Daal ḳhuld ko kū-e-butāñ na chhoḌ

    for sake of God! momin from leaving this house refrain

    let paradise to hell consign, leave not the idol's lane

    āshiq to jānte haiñ vo ai dil yahī sahī

    har-chand be-asar hai par aah o fuġhāñ na chhoḌ

    that she knows you love her, O heart this much you gain

    don't give up your lamentation, though it be in vain

    us tab-e-nāznīñ ko kahāñ tāb-e-infi.āl

    jāsūs mere vāste ai bad-gumāñ na chhoḌ

    ---

    ---

    nā-chār deñge aur kisī ḳhūb-rū ko dil

    achchhā apnī ḳhū-e-bad ai bad-zabāñ na chhoḌ

    some other gentle beauty will now on my heart sustain

    your petulance, abusiveness, you're welcome to retain

    zaḳhmī kiyā udū ko to marnā muhāl hai

    qurbān jā.ūñ tere mujhe nīm-jāñ na chhoḌ

    if you wound my rival, dying will be hard then too

    don't leave me half-alive I will give my life for you,

    kuchh kuchh durust zid se tirī ho chale haiñ vo

    yak-chand aur kaj-ravī ai āsmāñ na chhoḌ

    She seems to have improved somewhat at your insistence

    with your wayward gait o Sky don't for a while dispense

    jis kūche meñ guzār sabā na ho sake

    ai andalīb us ke liye gulsitāñ na chhoḌ

    any street, access to which, zephyrs will never gain

    O nightingale do not forsake the garden for that lane

    gar phir bhī ashk aa.eñ to jānūñ ki ishq hai

    huqqe muñh se ġhair jānib dhuāñ na chhoḌ

    if even then, his eyes tear up, his love is true I'll know

    smoke, into my rival's face, when you cease to blow

    hotā hai is jahīm meñ hāsil visāl-e-jaur

    'momin' ajab bahisht hai dair-e-muġhāñ na chhoḌ

    you will meet the virgins here, in this fiery domain

    momin as paradise is myth, immersed in wine remain

    'momin' KHuda ke waste aisa makan na chhoD

    dozaKH mein Dal KHuld ko ku-e-butan na chhoD

    for sake of God! momin from leaving this house refrain

    let paradise to hell consign, leave not the idol's lane

    aashiq to jaante hain wo ai dil yahi sahi

    har-chand be-asar hai par aah o fughan na chhoD

    that she knows you love her, O heart this much you gain

    don't give up your lamentation, though it be in vain

    us tab-e-naznin ko kahan tab-e-infial

    jasus mere waste ai bad-guman na chhoD

    ---

    ---

    na-chaar denge aur kisi KHub-ru ko dil

    achchha tu apni KHu-e-bad ai bad-zaban na chhoD

    some other gentle beauty will now on my heart sustain

    your petulance, abusiveness, you're welcome to retain

    zaKHmi kiya udu ko to marna muhaal hai

    qurban jaun tere mujhe nim-jaan na chhoD

    if you wound my rival, dying will be hard then too

    don't leave me half-alive I will give my life for you,

    kuchh kuchh durust zid se teri ho chale hain wo

    yak-chand aur kaj-rawi ai aasman na chhoD

    She seems to have improved somewhat at your insistence

    with your wayward gait o Sky don't for a while dispense

    jis kuche mein guzar saba ka na ho sake

    ai andalib us ke liye gulsitan na chhoD

    any street, access to which, zephyrs will never gain

    O nightingale do not forsake the garden for that lane

    gar phir bhi ashk aaen to jaanun ki ishq hai

    huqqe ka munh se ghair ki jaanib dhuan na chhoD

    if even then, his eyes tear up, his love is true I'll know

    smoke, into my rival's face, when you cease to blow

    hota hai is jahim mein hasil visal-e-jaur

    'momin' ajab bahisht hai dair-e-mughan na chhoD

    you will meet the virgins here, in this fiery domain

    momin as paradise is myth, immersed in wine remain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now