Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil

Bahadur Shah Zafar

na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    na do dushnām ham ko itnī bad-ḳhūī se kyā hāsil

    tumheñ denā hogā bosa ḳham-rūī se kyā hāsil

    dil-āzārī ne terī kar diyā bilkul mujhe be-dil

    na kar ab merī dil-jūī ki dil-jūī se kyā hāsil

    na jab tak chaak ho dil phāñs kab dil nikaltī hai

    jahāñ ho kaam ḳhanjar vahāñ suuī se kyā hāsil

    burā.ī bhalā.ī go hai apne vāste lekin

    kisī ko kyuuñ kaheñ ham bad ki bad-gūī se kyā hāsil

    na kar fikr-e-ḳhizāb ai shaiḳh piirī meñ jaane de

    javāñ honā nahīñ mumkin siyah-rūī se kyā hāsil

    chaḌhā.e āstīñ ḳhanjar-ba-kaf vo yuuñ jo phirtā hai

    use kyā jaane hai us arbada-jūī se kyā hāsil

    abas pamba na rakh dāġh-e-dil-e-sozāñ pe mere

    ki añgāre pe hogā chāragar ruuī se kyā hāsil

    shamīm-e-zulf ho us to ho farhat mire dil ko

    sabā hovegā mushk-chīñ ḳhushbūī se kyā hāsil

    na hove jab talak insāñ ko dil se mel-e-yak-jānib

    'zafar' logoñ ke dikhlāne ko yaksūī se kyā hāsil

    na do dushnam hum ko itni bad-KHui se kya hasil

    tumhein dena hi hoga bosa KHam-rui se kya hasil

    dil-azari ne teri kar diya bilkul mujhe be-dil

    na kar ab meri dil-jui ki dil-jui se kya hasil

    na jab tak chaak ho dil phans kab dil ki nikalti hai

    jahan ho kaam KHanjar ka wahan sui se kya hasil

    burai ya bhalai go hai apne waste lekin

    kisi ko kyun kahen hum bad ki bad-gui se kya hasil

    na kar fikr-e-KHizab ai shaiKH tu piri mein jaane de

    jawan hona nahin mumkin siyah-rui se kya hasil

    chaDhae aastin KHanjar-ba-kaf wo yun jo phirta hai

    use kya jaane hai us arbada-jui se kya hasil

    abas pamba na rakh dagh-e-dil-e-sozan pe tu mere

    ki angare pe hoga chaaragar rui se kya hasil

    shamim-e-zulf ho us ki to ho farhat mere dil ko

    saba howega mushk-chin ki KHushbui se kya hasil

    na howe jab talak insan ko dil se mel-e-yak-jaanib

    'zafar' logon ke dikhlane ko yaksui se kya hasil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now