Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hoga hashr mahshar mein bapa kya

Zeba

na hoga hashr mahshar mein bapa kya

Zeba

MORE BYZeba

    na hogā hashr mahshar meñ bapā kyā

    na hogā merā un faisla kyā

    daġhā degā mujhe vo pur-jafā kyā

    na aaḌe aa.egī merī vafā kyā

    chaman meñ kis liye gul hañs rahe haiñ

    shagūfa ne chhoḌā ai sabā kyā

    chalo bigḌo na mah kahne par itnā

    bashar se ho nahīñ jaatī ḳhatā kyā

    unheñ tark-e-ta.alluq hai jo manzūr

    mujhe ilzām dete haiñ vo kyā kyā

    vo kab bah gayā sab ḳhuun ho kar

    lagā.egā koī dil patā kyā

    kiyā hai vāda-e-fardā kisī ne

    na hogī ab qayāmat bhī bapā kyā

    ḳhudā bhī nahīñ sunte haiñ ye but

    bhalā maiñ kyā huuñ merī iltijā kyā

    jafāoñ ke liye thiiñ vafā.eñ

    natīja dostī hai daġhā kyā

    unhīñ ye dil bhī kah rahā hai

    misāl-e-chashm-e-jānāñ phir gayā kyā

    ajab andāz se niklā mirā dam

    adā-e-yār thī merī qazā kyā

    manāne se nahīñ mantā jo koī

    hamārā dam ḳhafā hotā hai kyā kyā

    diye dukh bhī to bhar ke na ham ko

    falak kyā hai terā hausla kyā

    daġhā ham ko dil le kar hamārā

    yahī jurm-e-vafā thī sazā kyā

    mujhe kyuuñ aaj hichkī aa rahī hai

    koī yaad aa.ī aur un ko jafā kyā

    kareñ shikva na sāhab dahr bhī

    zamāne meñ tumhīñ ho bevafā kyā

    shab-e-furqat daġhā zabt ne bhī

    dilā sach hai kisī aasrā kyā

    vo be-ḳhud ke 'zebā' ko ye bole

    dil aayā aap merā gayā kyā

    na hoga hashr mahshar mein bapa kya

    na hoga mera un ka faisla kya

    dagha dega mujhe wo pur-jafa kya

    na aaDe aaegi meri wafa kya

    chaman mein kis liye gul hans rahe hain

    shagufa tu ne chhoDa ai saba kya

    chalo bigDo na mah kahne par itna

    bashar se ho nahin jati KHata kya

    unhen tark-e-talluq hai jo manzur

    mujhe ilzam dete hain wo kya kya

    wo kab ka bah gaya sab KHun ho kar

    lagaega koi dil ka pata kya

    kiya hai wada-e-farda kisi ne

    na hogi ab qayamat bhi bapa kya

    KHuda ki bhi nahin sunte hain ye but

    bhala main kya hun meri iltija kya

    jafaon ke liye ki thin wafaen

    natija dosti ka hai dagha kya

    unhin ki si ye dil bhi kah raha hai

    misal-e-chashm-e-jaanan phir gaya kya

    ajab andaz se nikla mera dam

    ada-e-yar thi meri qaza kya

    manane se nahin manta jo koi

    hamara dam KHafa hota hai kya kya

    diye dukh bhi to ji bhar ke na hum ko

    falak tu kya hai tera hausla kya

    dagha di hum ko dil le kar hamara

    yahi jurm-e-wafa ki thi saza kya

    mujhe kyun aaj hichki aa rahi hai

    koi yaad aai aur un ko jafa kya

    karen shikwa na sahab dahr ka bhi

    zamane mein tumhin ho bewafa kya

    shab-e-furqat dagha di zabt ne bhi

    dila sach hai kisi ka aasra kya

    wo be-KHud pa ke 'zeba' ko ye bole

    dil aaya aap ka mera gaya kya

    Source:

    Deewan-e-Zeba (Pg. ebook-8 page-9)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now