aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naujawani ki did kar lije

Meer Hasan

naujawani ki did kar lije

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    naujavānī diid kar liije

    apne mausam iid kar liije

    kaun kahtā hai kaun suntā hai

    apnī guft-o-shunīd kar liije

    ab ke bichhḌe miloge phir ki nahīñ

    kuchh to vā'da va.ii.d kar liije

    apne gesū darāz ke mujh ko

    silsile meñ murīd kar liije

    hai masal ek naah sad āsān

    yaas ko umiid kar liije

    haañ adam meñ kahāñ hai ishq-e-butāñ

    is ko yaañ se ḳharīd kar liije

    vasl tab ho udhar jab īdhar se

    pahle qat'-o-burīd kar liije

    qatl kyā be-gunah mushkil hai

    chāhiye jab shahīd kar liije

    us ulfat meñ rote rote 'hasan'

    ye siyah ko sapīd kar liije

    naujawani ki did kar lije

    apne mausam ki id kar lije

    kaun kahta hai kaun sunta hai

    apni guft-o-shunid kar lije

    ab ke bichhDe miloge phir ki nahin

    kuchh to wa'da waid kar lije

    apne gesu daraaz ke mujh ko

    silsile mein murid kar lije

    hai masal ek nah sad aasan

    yas hi ko umid kar lije

    han adam mein kahan hai ishq-e-butan

    is ko yan se KHarid kar lije

    wasl tab ho udhar jab idhar se

    pahle qat'-o-burid kar lije

    qatl kya be-gunah ka mushkil hai

    chahiye jab shahid kar lije

    us ki ulfat mein rote rote 'hasan'

    ye siyah ko sapid kar lije

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 121)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now