pi li to kuchh pata na chala wo surur tha

Muneer Niyazi

pi li to kuchh pata na chala wo surur tha

Muneer Niyazi

MORE BY Muneer Niyazi

  to kuchh pata na chalā vo surūr thā

  vo us saaya thā ki vahī rashk-e-hūr thā

  kal maiñ ne us ko dekhā to dekhā nahīñ gayā

  mujh se bichhaḌ ke vo bhī bahut ġham se chuur thā

  royā thā kaun kaun mujhe kuchh ḳhabar nahīñ

  maiñ us ghaḌī vatan se ka.ī miil duur thā

  shām-e-firāq aa.ī to dil Dūbne lagā

  ham ko bhī apne aap pe kitnā ġhurūr thā

  chehra thā sadā thī kisī bhūlī yaad

  āñkheñ thiiñ us yaaro ki dariyā-e-nūr thā

  niklā jo chāñd aa.ī mahak tez 'munīr'

  mere sivā bhī baaġh meñ koī zarūr thā

  pi li to kuchh pata na chala wo surur tha

  wo us ka saya tha ki wahi rashk-e-hur tha

  kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya

  mujh se bichhaD ke wo bhi bahut gham se chur tha

  roya tha kaun kaun mujhe kuchh KHabar nahin

  main us ghaDi watan se kai mil dur tha

  sham-e-firaq aai to dil Dubne laga

  hum ko bhi apne aap pe kitna ghurur tha

  chehra tha ya sada thi kisi bhuli yaad ki

  aankhen thin us ki yaro ki dariya-e-nur tha

  nikla jo chand aai mahak tez si 'munir'

  mere siwa bhi bagh mein koi zarur tha

  Tagged Under

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY