Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe

Saghar Azmi

pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe

Saghar Azmi

MORE BYSaghar Azmi

    pyaas sadiyoñ hai lamhoñ meñ bujhānā chāhe

    ik zamāna tirī āñkhoñ meñ samānā chāhe

    aisī lahroñ meñ nadī paar hasrat kis ko

    ab to jo aa.e yahāñ Duub jaanā chāhe

    aaj bikne sar-e-bāzār maiñ ḳhud aayā huuñ

    kyuuñ mujhe koī ḳharīdār banānā chāhe

    mujh meñ aur tujh meñ hai ye farq to ab bhī qaa.im

    mujhe chāhe magar tujh ko zamāna chāhe

    kabhī iz.hār-e-mohabbat kabhī shikvoñ ke liye

    tujh se milne koī roz bahānā chāhe

    jis ko chhūne se mirā jism sulag uTThā thā

    dil phir ik baar usī chhāñv meñ jaanā chāhe

    us ke jazbāt se yuuñ khel rahā huuñ 'sāġhar'

    jaise paanī meñ koī aag lagānā chāhe

    pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe

    ek zamana teri aankhon mein samana chahe

    aisi lahron mein nadi par ki hasrat kis ko

    ab to jo aae yahan Dub hi jaana chahe

    aaj bikne sar-e-bazar main KHud aaya hun

    kyun mujhe koi KHaridar banana chahe

    mujh mein aur tujh mein hai ye farq to ab bhi qaim

    tu mujhe chahe magar tujh ko zamana chahe

    kabhi izhaar-e-mohabbat kabhi shikwon ke liye

    tujh se milne ka koi roz bahana chahe

    jis ko chhune se mera jism sulag uTTha tha

    dil phir ek bar usi chhanw mein jaana chahe

    us ke jazbaat se yun khel raha hun 'saghar'

    jaise pani mein koi aag lagana chahe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    pyas sadiyon ki hai lamhon mein bujhana chahe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now