Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena

Wasif Dehlvi

qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena

Wasif Dehlvi

MORE BYWasif Dehlvi

    qadam yuuñ be-ḳhatar ho kar na mai-ḳhāne meñ rakh denā

    bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrāne meñ rakh denā

    sunā hai hazrat-e-vā.iz idhar tashrīf lā.eñge

    zarā us kāsa-e-gardūñ ko mai-ḳhāne meñ rakh denā

    butoñ ke dil meñ yuuñ shāyad ḳhudā ḳhauf paidā ho

    ye mere dil ke TukḌe ke but-ḳhāne meñ rakh denā

    yahāñ ai dil farishtoñ bhī zohra aab hotā hai

    qadam āsāñ nahīñ ulfat ke vīrāne meñ rakh denā

    chalā hai ghar ko dīvāna uḌā kar ḳhaak sahrā

    ġhubār-e-ḳhātir-e-ahbāb kāshāne meñ rakh denā

    ziyārat ko vo dasht-e-najd jāñ-bāz aa.egā

    zarā dam-bhar ko merī naash vīrāne meñ rakh denā

    ba-faiz-e-hazrat-e-nāseh huī taufīq tauba

    mirā jām-e-shikasta un ke shukrāne meñ rakh denā

    munāfī thā ye ai mansūr dastūr-e-amānat ke

    kisī baat ko yuuñ apne begāne meñ rakh denā

    pilā.ī hai jo 'vāsif' ko mai-e-mard-āzmā saaqī

    to kuchh shān-e-ḳhudī bhī apne dīvāne meñ rakh denā

    qadam yun be-KHatar ho kar na mai-KHane mein rakh dena

    bahut mushkil hai jaan o dil ko nazrane mein rakh dena

    suna hai hazrat-e-waiz idhar tashrif laenge

    zara us kasa-e-gardun ko mai-KHane mein rakh dena

    buton ke dil mein yun shayad KHuda ka KHauf paida ho

    ye mere dil ke TukDe ja ke but-KHane mein rakh dena

    yahan ai dil farishton ka bhi zohra aab hota hai

    qadam aasan nahin ulfat ke virane mein rakh dena

    chala hai ghar ko diwana uDa kar KHak sahra ki

    ghubar-e-KHatir-e-ahbab kashane mein rakh dena

    ziyarat ko wo dasht-e-najd ka jaan-baz aaega

    zara dam-bhar ko meri nash virane mein rakh dena

    ba-faiz-e-hazrat-e-naseh hui taufiq tauba ki

    mera jam-e-shikasta un ke shukrane mein rakh dena

    munafi tha ye ai mansur dastur-e-amanat ke

    kisi ki baat ko yun apne begane mein rakh dena

    pilai hai jo 'wasif' ko mai-e-mard-azma saqi

    to kuchh shan-e-KHudi bhi apne diwane mein rakh dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now