Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar

Faza Ibn e Faizi

raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    rā.egāñ sab kuchh huā kaisī basīrat kyā hunar

    gard gard apnī basīrat ḳhaak ḳhaak apnā hunar

    jis taraf dekho hujūm-e-chehra-e-be-chehragāñ

    kis ghane jañgal meñ yaaro gum huā sab hunar

    ab hamārī muTThiyoñ meñ ek jugnū bhī nahīñ

    chhīn kar be-rahm mausam le gayā saarā hunar

    toḌ kar is ko bhī ab koī havā le jā.egī

    ye jo barg-e-sabz ke mānind hai merā hunar

    ab kahāñ dil ke lahū meñ bhīgī bhīgī āgahī

    jeb meñ ham bhī liye phirte haiñ māñge hunar

    dekhnā haiñ khelne vāloñ chābuk-dastiyāñ

    taash pattā sahī merā hunar terā hunar

    garmi-e-pahlū yahī tashkīk o lā-ilmī aañch

    zauq-e-gumshudgī se ham haiñ bā-ḳhabar bā-hunar

    bas yahī ḳhākistar-e-jāñ hai yahāñ apnī shanāḳht

    ho gayā saarā badan jab raakh to chamkā hunar

    shaḳhsiyat ye tavāzun terā hissa hai 'fazā'

    jitnī saada hai tabī.at utnā tīkhā hunar

    raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar

    gard gard apni basirat KHak KHak apna hunar

    jis taraf dekho hujum-e-chehra-e-be-chehragan

    kis ghane jangal mein yaro gum hua sab ka hunar

    ab hamari muTThiyon mein ek jugnu bhi nahin

    chhin kar be-rahm mausam le gaya sara hunar

    toD kar is ko bhi ab koi hawa le jaegi

    ye jo barg-e-sabz ke manind hai mera hunar

    ab kahan dil ke lahu mein bhigi bhigi aagahi

    jeb mein hum bhi liye phirte hain mange ka hunar

    dekhna hain khelne walon ki chabuk-dastiyan

    tash ka patta sahi mera hunar tera hunar

    garmi-e-pahlu yahi tashkik o la-ilmi ki aanch

    zauq-e-gumshudgi se hum hain ba-KHabar ya ba-hunar

    bas yahi KHakistar-e-jaan hai yahan apni shanaKHt

    ho gaya sara badan jab rakh to chamka hunar

    shaKHsiyat ka ye tawazun tera hissa hai 'faza'

    jitni sada hai tabiat utna hi tikha hunar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now