aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

Akhtar Shahjahanpuri

rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

Akhtar Shahjahanpuri

MORE BYAkhtar Shahjahanpuri

    rāh-e-vafā meñ koī hameñ jāntā na thā

    jab tak diyā hamāre lahū jalā na thā

    ye mo.ajiza hamāre tarz-e-bayāñ thā

    us ne vo sun liyā thā jo ham ne kahā na thā

    jab āshiyāne jal ga.e tab ham-navā hue

    gulshan meñ is se pahle koī boltā na thā

    ḳhud qatra qatra pighaltā thā roz-o-shab

    shāmil tire zavāl meñ dast-e-duā na thā

    shiddat dhuup meñ bhī na pighlā mirā vajūd

    mujh par tumhārī zulfoñ jab shāmiyāna thā

    jugnū thā kahkashāñ thā sitāra thā guhar

    aañsū kisī aañkh se jab tak girā na thā

    'aḳhtar' gunāh karne se phir roktā thā kaun

    maiñ kaise maan luuñ ki vahāñ par ḳhudā na thā

    rah-e-wafa mein koi hamein jaanta na tha

    jab tak diya hamare lahu ka jala na tha

    ye moajiza hamare hi tarz-e-bayan ka tha

    us ne wo sun liya tha jo hum ne kaha na tha

    jab aashiyane jal gae tab ham-nawa hue

    gulshan mein is se pahle koi bolta na tha

    tu KHud hi qatra qatra pighalta tha roz-o-shab

    shamil tere zawal mein dast-e-dua na tha

    shiddat ki dhup mein bhi na pighla mera wajud

    mujh par tumhaari zulfon ka jab shamiyana tha

    jugnu tha kahkashan tha sitara tha ya guhar

    aansu kisi ki aankh se jab tak gira na tha

    'aKHtar' gunah karne se phir rokta tha kaun

    main kaise man lun ki wahan par KHuda na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now