aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya

Gopal Mittal

rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya

Gopal Mittal

MORE BYGopal Mittal

    rañgīni-e-havas vafā naam rakh diyā

    ḳhuddāri-e-vafā jafā naam rakh diyā

    insān jo baat samajh meñ na aa sakī

    insāñ ne us haq razā naam rakh diyā

    ḳhud-ġharziyoñ ke saa.e meñ paatī hai parvarish

    ulfat ko jis sidq o safā naam rakh diyā

    be-mehri-e-habīb mushkil thā e'tirāf

    yāroñ ne us naaz o adā naam rakh diyā

    fitrat meñ aadmī hai mub.ham ek ḳhauf

    us ḳhauf kisī ne ḳhudā naam rakh diyā

    ye ruuh kyā hai jism aks-e-latīf hai

    ye aur baat hai ki judā naam rakh diyā

    muflis ko ahl-e-zar ne bhī kyā kyā diye fareb

    apnī jafā hukm-e-ḳhudā naam rakh diyā

    rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya

    KHuddari-e-wafa ka jafa nam rakh diya

    insan ki jo baat samajh mein na aa saki

    insan ne us ka haq ki raza nam rakh diya

    KHud-gharziyon ke sae mein pati hai parwarish

    ulfat ko jis ka sidq o safa nam rakh diya

    be-mehri-e-habib ka mushkil tha e'tiraf

    yaron ne us ka naz o ada nam rakh diya

    fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek KHauf

    us KHauf ka kisi ne KHuda nam rakh diya

    ye ruh kya hai jism ka aks-e-latif hai

    ye aur baat hai ki juda nam rakh diya

    muflis ko ahl-e-zar ne bhi kya kya diye fareb

    apni jafa ka hukm-e-KHuda nam rakh diya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now