Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rone ko bahut roe bahut aah-o-fughan ki

Aashufta Changezi

rone ko bahut roe bahut aah-o-fughan ki

Aashufta Changezi

MORE BYAashufta Changezi

    rone ko bahut ro.e bahut āh-o-fuġhāñ

    kaTtī nahīñ zanjīr magar sūd-o-ziyāñ

    aa.eñ jo yahāñ ahl-e-ḳhirad soch ke aa.eñ

    is shahr se miltī haiñ hadeñ shahr-e-gumāñ

    karte haiñ tavāf aaj vo ḳhud apne gharoñ

    jo sair ko nikle the kabhī saare jahāñ

    is dasht ke anjām pe pahle se nazar thī

    tāsīr samajhte the ham āvāz-e-sagāñ

    ilzām lagātā hai yahī ham pe zamāna

    tasvīr banāte haiñ kisī aur jahāñ

    pahle kahā karte the mat ġhaur se dekho

    har baat nirālī hai yahāñ dīda-varāñ

    'āshufta' ab us shaḳhs se kyā ḳhaak nibāheñ

    jo baat samajhtā nahīñ dil zabāñ

    rone ko bahut roe bahut aah-o-fughan ki

    kaTti nahin zanjir magar sud-o-ziyan ki

    aaen jo yahan ahl-e-KHirad soch ke aaen

    is shahr se milti hain haden shahr-e-guman ki

    karte hain tawaf aaj wo KHud apne gharon ka

    jo sair ko nikle the kabhi sare jahan ki

    is dasht ke anjam pe pahle se nazar thi

    tasir samajhte the hum aawaz-e-sagan ki

    ilzam lagata hai yahi hum pe zamana

    taswir banate hain kisi aur jahan ki

    pahle hi kaha karte the mat ghaur se dekho

    har baat nirali hai yahan dida-waran ki

    'ashufta' ab us shaKHs se kya KHak nibahen

    jo baat samajhta hi nahin dil ki zaban ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now