Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shamiyanon ki wazahat to nahin ki gai hai

Faisal Ajmi

shamiyanon ki wazahat to nahin ki gai hai

Faisal Ajmi

MORE BYFaisal Ajmi

    shāmiyānoñ vazāhat to nahīñ ga.ī hai

    aaj ḳhairāt hai dāvat to nahīñ ga.ī hai

    dekhtī hai hameñ duniyā use rokā jaa.e

    saath rahte haiñ mohabbat to nahīñ ga.ī hai

    ham ne kaasa baḌhāyā hai duā dete hue

    dar-ba-dar ke shikāyat to nahīñ ga.ī hai

    rāsta hai ise milne jagah kahte haiñ

    aap se milne zahmat to nahīñ ga.ī hai

    aaj phir ā.īna dekhā hai ka.ī saal ke baad

    kahīñ is baar bhī ujlat to nahīñ ga.ī hai

    pahlī dhaḌkan miyāñ vazan meñ thī shukr karo

    shā.irī aaj ināyat to nahīñ ga.ī hai

    shamiyanon ki wazahat to nahin ki gai hai

    aaj KHairaat hai dawat to nahin ki gai hai

    dekhti hai hamein duniya use roka jae

    sath rahte hain mohabbat to nahin ki gai hai

    hum ne kasa hi baDhaya hai dua dete hue

    dar-ba-dar ja ke shikayat to nahin ki gai hai

    rasta hai ise milne ki jagah kahte hain

    aap se milne ki zahmat to nahin ki gai hai

    aaj phir aaina dekha hai kai sal ke baad

    kahin is bar bhi ujlat to nahin ki gai hai

    pahli dhaDkan hi miyan wazan mein thi shukr karo

    shairi aaj inayat to nahin ki gai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now