Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-raushan ko andheron se bhari sham na de

Ameeta Parsuram Meeta

subh-e-raushan ko andheron se bhari sham na de

Ameeta Parsuram Meeta

MORE BYAmeeta Parsuram Meeta

    sub.h-e-raushan ko añdheroñ se bharī shaam na de

    dil ke rishte ko mirī jaan koī naam na de

    moḌ aate mujhe chhoḌ ke jaane vaale

    phir se tanhā.iyāñ be-chainiyāñ kohrām na de

    mujh ko mat bāñdh vafādārī zanjīroñ meñ

    maiñ ki bādal huuñ bhaTak jaane ilzām na de

    mutma.in donoñ haiñ maiñ aur merī tarz-e-hayāt

    tishnagī mere muāfiq hai koī jaam na de

    āsmāñ dene ai dost dikhāvā mat kar

    mujh ko uḌne ijāzat tah-e-dām na de

    haañ nibhā.e haiñ mohabbat ke farā.ez maiñ ne

    mustahiq bhī huuñ magar koī bhī in.aam na de

    dil ke afsāne āġhāz hasīñ hai 'mītā'

    silsila yūñhī chale koī bhī anjām na de

    subh-e-raushan ko andheron se bhari sham na de

    dil ke rishte ko meri jaan koi nam na de

    moD aate hi mujhe chhoD ke jaane wale

    phir se tanhaiyan be-chainiyan kohram na de

    mujh ko mat bandh wafadari ki zanjiron mein

    main ki baadal hun bhaTak jaane ka ilzam na de

    mutmain donon hain main aur meri tarz-e-hayat

    tishnagi mere muafiq hai koi jam na de

    aasman dene ka ai dost dikhawa mat kar

    mujh ko uDne ki ijazat tu tah-e-dam na de

    han nibhae hain mohabbat ke faraez main ne

    mustahiq bhi hun magar koi bhi inam na de

    dil ke afsane ka aaghaz hasin hai 'mita'

    silsila yunhi chale koi bhi anjam na de

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shanti Hiranand

    Shanti Hiranand

    RECITATIONS

    Radhika Chopra

    Radhika Chopra,

    Radhika Chopra

    subh-e-raushan ko andheron se bhari sham na de Radhika Chopra

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now