Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya

Iftikhar Naseem

suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya

Iftikhar Naseem

MORE BYIftikhar Naseem

    sūraj na.e baras mujhe jaise Das gayā

    tujh se mile hue mujhe ye bhī baras gayā

    bahtī rahī nadī mire ghar ke qarīb se

    paanī ko dekhne ke liye maiñ taras gayā

    milne ḳhvāhisheñ sabhī dam toḌtī ga.iiñ

    dil meñ kuchh aise ḳhauf bichhaḌne bas gayā

    dīvār o dar jhulaste rahe tez dhuup meñ

    bādal tamām shahr se bāhar baras gayā

    talvoñ meñ narm ghaas bhī chubhne lagī 'nasīm'

    sahrā kuchh is tarah mire pairoñ meñ bas gayā

    suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya

    tujh se mile hue mujhe ye bhi baras gaya

    bahti rahi nadi mere ghar ke qarib se

    pani ko dekhne ke liye main taras gaya

    milne ki KHwahishen sabhi dam toDti gain

    dil mein kuchh aise KHauf bichhaDne ka bas gaya

    diwar o dar jhulaste rahe tez dhup mein

    baadal tamam shahr se bahar baras gaya

    talwon mein narm ghas bhi chubhne lagi 'nasim'

    sahra kuchh is tarah mere pairon mein bas gaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    suraj nae baras ka mujhe jaise Das gaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now