Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum dhup se na dhup ki yalghaar se bacho

Jaleel Haider Lashari

tum dhup se na dhup ki yalghaar se bacho

Jaleel Haider Lashari

MORE BYJaleel Haider Lashari

    tum dhuup se na dhuup yalġhār se bacho

    dīvār girne vaalī hai dīvār se bacho

    rakh de na kaaT kar kahīñ saare vajūd ko

    ḳhud-sāḳhta anāoñ talvār se bacho

    vo dil TūTnā to koī vāqi.a na thā

    ab TuuTe dil kirchiyoñ dhaar se bacho

    aisā na ho ki bojh se sar na uTh sake

    tum bhiik meñ milī huī dastār se bacho

    tum dhup se na dhup ki yalghaar se bacho

    diwar girne wali hai diwar se bacho

    rakh de na kaT kar kahin sare wajud ko

    KHud-saKHta anaon ki talwar se bacho

    wo dil ka TuTna to koi waqia na tha

    ab TuTe dil ki kirchiyon ki dhaar se bacho

    aisa na ho ki bojh se sar hi na uTh sake

    tum bhik mein mili hui dastar se bacho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now