aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu mujhko jo is shahr mein laya nahin hota

Farhat Ehsas

tu mujhko jo is shahr mein laya nahin hota

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    mujh ko jo is shahr meñ laayā nahīñ hotā

    maiñ be-sar-o-sāmāñ kabhī rusvā nahīñ hotā

    us to ye aadat hai kisī nahīñ hotā

    phir is meñ ajab kyā ki hamārā nahīñ hotā

    kuchh peḌ bhī be-faiz haiñ is rāhguzar ke

    kuchh dhuup bhī aisī hai ki saayā nahīñ hotā

    ḳhvāboñ meñ jo ik shahr banā detā hai mujh ko

    jab aañkh khulī ho to vo chehrā nahīñ hotā

    kis hai ye tasvīr jo bantī nahīñ mujh se

    maiñ kis taqāzā huuñ ki puurā nahīñ hotā

    maiñ shahr meñ kis shaḳhs ko jiine duā duuñ

    jiinā bhī to sab ke liye achchhā nahīñ hotā

    tu mujh ko jo is shahr mein laya nahin hota

    main be-sar-o-saman kabhi ruswa nahin hota

    us ki to ye aadat hai kisi ka nahin hota

    phir is mein ajab kya ki hamara nahin hota

    kuchh peD bhi be-faiz hain is rahguzar ke

    kuchh dhup bhi aisi hai ki saya nahin hota

    KHwabon mein jo ek shahr bana deta hai mujh ko

    jab aankh khuli ho to wo chehra nahin hota

    kis ki hai ye taswir jo banti nahin mujh se

    main kis ka taqaza hun ki pura nahin hota

    main shahr mein kis shaKHs ko jine ki dua dun

    jina bhi to sab ke liye achchha nahin hota

    RECITATIONS

    Farhat Ehsas

    Farhat Ehsas,

    Farhat Ehsas

    tu mujhko jo is shahr mein laya nahin hota Farhat Ehsas

    Source:

    Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 33)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now