Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuTe hue KHwabon ke talabgar bhi aae

Shoaib Nizam

TuTe hue KHwabon ke talabgar bhi aae

Shoaib Nizam

MORE BYShoaib Nizam

    TuuTe hue ḳhvāboñ ke talabgār bhī aa.e

    ai jins-e-girāñ tere ḳharīdār bhī aa.e

    muddat huī sunte hue tamhīd-e-tilismāt

    ab qisse meñ aage koī kirdār bhī aa.e

    kyā ḳhatm na hogī kabhī sahrā hukūmat

    raste meñ kahīñ to dar-o-dīvār bhī aa.e

    ab jis ke asar meñ hai ye vīrān havelī

    vo saaya kabhī to pas-e-dīvār bhī aa.e

    phir shahr meñ ayyām-e-guzishta uḌī raakh

    phir zad meñ ka.ī jubba-o-dastār bhī aa.e

    pahle to sabhī tere sarāpā meñ hue gum

    phir zikr meñ aage tire atvār bhī aa.e

    TuTe hue KHwabon ke talabgar bhi aae

    ai jins-e-giran tere KHaridar bhi aae

    muddat hui sunte hue tamhid-e-tilismat

    ab qisse mein aage koi kirdar bhi aae

    kya KHatm na hogi kabhi sahra ki hukumat

    raste mein kahin to dar-o-diwar bhi aae

    ab jis ke asar mein hai ye viran haweli

    wo saya kabhi to pas-e-diwar bhi aae

    phir shahr mein ayyam-e-guzishta ki uDi rakh

    phir zad mein kai jubba-o-dastar bhi aae

    pahle to sabhi tere sarapa mein hue gum

    phir zikr mein aage tere atwar bhi aae

    Source:

    Aks e Gumgushta (Pg. 12)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now