aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai

Mohammad Alvi

uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    uThte hue qadmoñ dhamak aane lagī hai

    pau phaTne se pahle galī jaag uThī hai

    āshiq ho to choroñ meñ bhī ab naam likhāo

    darvāza bhale band hai khiḌkī to khulī hai

    log apne makānoñ taraf bhaag rahe haiñ

    ghar vāloñ pe jaise koī uftād paḌī hai

    ai bād-e-sabā kis liye phirtī hai pareshāñ

    kyā bhī usī phuul Thukrā.ī huī hai

    aa gardish-e-daurāñ tujhe siine se lagā luuñ

    ab tak to mirī jaañ mire saath rahī hai

    ab aa.e ho duniyā meñ to yuuñ muñh na bigāḌo

    do roz to rahnā hai burī hai to burī hai

    bāzār ke dāmoñ shikāyat hai har ik ko

    phir bhī sar-e-bāzār baḌī bhiiḌ lagī hai

    kāñTe tarah suukh ke rah jāoge 'alvī'

    chhoḌo ye ġhazal-goī ye bīmārī burī hai

    uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai

    pau phaTne se pahle hi gali jag uThi hai

    aashiq ho to choron mein bhi ab nam likhao

    darwaza bhale band hai khiDki to khuli hai

    log apne makanon ki taraf bhag rahe hain

    ghar walon pe jaise koi uftad paDi hai

    ai baad-e-saba kis liye phirti hai pareshan

    kya tu bhi usi phul ki Thukrai hui hai

    aa gardish-e-dauran tujhe sine se laga lun

    ab tak to meri jaan tu mere sath rahi hai

    ab aae ho duniya mein to yun munh na bigaDo

    do roz to rahna hai buri hai to buri hai

    bazar ke damon ki shikayat hai har ek ko

    phir bhi sar-e-bazar baDi bhiD lagi hai

    kanTe ki tarah sukh ke rah jaoge 'alwi'

    chhoDo ye ghazal-goi ye bimari buri hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now