Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uThte hue tufan ka manzar nahin dekha

Alamtaab Tishna

uThte hue tufan ka manzar nahin dekha

Alamtaab Tishna

MORE BYAlamtaab Tishna

    uThte hue tūfān manzar nahīñ dekhā

    dekho mujhe gar tum ne samundar nahīñ dekhā

    guzrā huā lamha thā ki bahtā huā dariyā

    phir merī taraf us ne palaT kar nahīñ dekhā

    ik dasht milā kūcha-e-jānāñ se nikal kar

    ham ne to kabhī ishq ko be-ghar nahīñ dekhā

    the sañg to betāb bahut naqsh-garī ko

    ham ne unheñ aañkh uThā kar nahīñ dekhā

    ik umr se hai jo mirī vahshat Thikāna

    ḳhushiyoñ tarah ne bhī vo ghar nahīñ dekhā

    nafrat bhī usī se hai parastish bhī usī

    is dil koī ham ne to kāfar nahīñ dekhā

    ḳhvāhish ko yahāñ hasb-e-zarūrat nahīñ paayā

    hāsil ko yahāñ hasab-e-muqaddar nahīñ dekhā

    har haal meñ dekhā hai use zabt paikar

    'tishna' ko kabhī zarf se bāhar nahīñ dekhā

    uThte hue tufan ka manzar nahin dekha

    dekho mujhe gar tum ne samundar nahin dekha

    guzra hua lamha tha ki bahta hua dariya

    phir meri taraf us ne palaT kar nahin dekha

    ek dasht mila kucha-e-jaanan se nikal kar

    hum ne to kabhi ishq ko be-ghar nahin dekha

    the sang to betab bahut naqsh-gari ko

    hum ne hi unhen aankh uTha kar nahin dekha

    ek umr se hai jo meri wahshat ka Thikana

    KHushiyon ki tarah tu ne bhi wo ghar nahin dekha

    nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki

    is dil sa koi hum ne to kafar nahin dekha

    KHwahish ko yahan hasb-e-zarurat nahin paya

    hasil ko yahan hasab-e-muqaddar nahin dekha

    har haal mein dekha hai use zabt ka paikar

    'tishna' ko kabhi zarf se bahar nahin dekha

    Source:

    funoon-volume-21 (Pg. 343)

      • Edition: 1984
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now