Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe

Faiz Ahmad Faiz

wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    vo ahd-e-ġham kāhish-hā-e-be-hāsil ko kyā samjhe

    jo un muḳhtasar rūdād bhī sabr-āzmā samjhe

    yahāñ vābastagī vaañ barhamī kyā jāniye kyuuñ hai

    na ham apnī nazar samjhe na ham un adā samjhe

    fareb-e-ārzū sahl-añgārī nahīñ jaatī

    ham apne dil dhaḌkan ko tirī āvāz-e-pā samjhe

    tumhārī har nazar se munsalik hai rishta-e-hastī

    magar ye duur bāteñ koī nādān kyā samjhe

    na pūchho ahd-e-ulfat bas ik ḳhvāb-e-pareshāñ thā

    na dil ko raah par laa.e na dil mudda.ā samjhe

    wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe

    jo un ki muKHtasar rudad bhi sabr-azma samjhe

    yahan wabastagi wan barhami kya jaaniye kyun hai

    na hum apni nazar samjhe na hum un ki ada samjhe

    fareb-e-arzu ki sahl-angari nahin jati

    hum apne dil ki dhaDkan ko teri aawaz-e-pa samjhe

    tumhaari har nazar se munsalik hai rishta-e-hasti

    magar ye dur ki baaten koi nadan kya samjhe

    na puchho ahd-e-ulfat ki bas ek KHwab-e-pareshan tha

    na dil ko rah par lae na dil ka muddaa samjhe

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 36)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now