Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai

Kabir Ajmal

wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai

Kabir Ajmal

MORE BYKabir Ajmal

    vo mauj-e-havā jo abhī bahne nahīñ hai

    ham jānte haiñ aap se kahne nahīñ hai

    yuuñ ḳhush na ho ai shahr-e-nigārāñ ke dar o baam

    ye vādi-e-saffāk bhī rahne nahīñ hai

    ai kaash koī koh-e-nidā se pukāre

    dīvār-e-sukūt aap Dhahne nahīñ hai

    kyuuñ aks-e-gurezāñ se chamak bujh ga.ī dil

    ye raat to mahtāb ke gahne nahīñ hai

    raqqāsa-e-sahrā-e-junūñ bhī hai yahī mauj

    yak chashma-e-ḳhūñ-nāb se bahne nahīñ hai

    ik tarfa tamāshā hai mujhe shoḳhi-e-guftār

    āshuftagi-e-'mīr' bhī sahne nahīñ hai

    wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai

    hum jaante hain aap se kahne ki nahin hai

    yun KHush na ho ai shahr-e-nigaran ke dar o baam

    ye wadi-e-saffak bhi rahne ki nahin hai

    ai kash koi koh-e-nida hi se pukare

    diwar-e-sukut aap hi Dhahne ki nahin hai

    kyun aks-e-gurezan se chamak bujh gai dil ki

    ye raat to mahtab ke gahne ki nahin hai

    raqqasa-e-sahra-e-junun bhi hai yahi mauj

    yak chashma-e-KHun-nab se bahne ki nahin hai

    ek tarfa tamasha hai mujhe shoKHi-e-guftar

    aashuftagi-e-'mir' bhi sahne ki nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now