wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya

Sabir Zafar

wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya

Sabir Zafar

MORE BYSabir Zafar

  vo niiñd adhūrī thī kyā ḳhvāb nā-tamām thā kyā

  maiñ jis ko soch rahā thā ḳhayāl-e-ḳhām thā kyā

  udhar se koī guzrā jidhar se guzrā

  tirī misāl koī aur ḳhush-ḳhirām thā kyā

  milūñ to kaise milūñ be-talab kisī se maiñ

  jise milūñ vo kahe mujh se koī kaam thā kyā

  usī ke saath rahā jis ne tujh se nafrat

  tirī nazar meñ 'zafar' us kuchh maqām thā kyā

  wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya

  main jis ko soch raha tha KHayal-e-KHam tha kya

  udhar se hi koi guzra jidhar se guzra tu

  teri misal koi aur KHush-KHiram tha kya

  milun to kaise milun be-talab kisi se main

  jise milun wo kahe mujh se koi kaam tha kya

  usi ke sath raha jis ne tujh se nafrat ki

  teri nazar mein 'zafar' us ka kuchh maqam tha kya

  Source:

  • Book : Mazhab-e-Ishq (Pg. 339)
  • Author : Sabir Zafar
  • Publication : Rang-e-Adab Publications, Karachi (2013)
  • Edition : 2013
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY