Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaran-e-tez-gam se ranjish kahan hai ab

Akhtar Shahjahanpuri

yaran-e-tez-gam se ranjish kahan hai ab

Akhtar Shahjahanpuri

MORE BYAkhtar Shahjahanpuri

    yārān-e-tez-gām se ranjish kahāñ hai ab

    manzil pe pahuñchne ḳhvāhish kahāñ hai ab

    zindāñ meñ din bhī raat jaisā guzar gayā

    ahl-e-junūñ vo pahlī shorish kahāñ hai ab

    jām-e-sharāb ab to mire sāmne na rakh

    āñkhoñ meñ nuur haath meñ jumbish kahāñ hai ab

    halqa-ba-gosh koī na ab yaar hai yahāñ

    vo roz-o-shab dād-o-satā.ish kahāñ hai ab

    jiine haq jo māñgā to tevar badal ga.e

    vo mere muhsinoñ navāzish kahāñ hai ab

    chehre pe gard-e-umr-e-ravāñ zuhūr hai

    bāñhoñ ke baale bosoñ bārish kahāñ hai ab

    ḳhanjar ho ki dashna ho teġh qalam

    'aḳhtar' vo aab aur vo burrish kahāñ hai ab

    yaran-e-tez-gam se ranjish kahan hai ab

    manzil pe ja pahunchne ki KHwahish kahan hai ab

    zindan mein din bhi raat hi jaisa guzar gaya

    ahl-e-junun wo pahli si shorish kahan hai ab

    jam-e-sharab ab to mere samne na rakh

    aankhon mein nur hath mein jumbish kahan hai ab

    halqa-ba-gosh koi na ab yar hai yahan

    wo roz-o-shab ki dad-o-sataish kahan hai ab

    jine ka haq jo manga to tewar badal gae

    wo mere muhsinon ki nawazish kahan hai ab

    chehre pe gard-e-umr-e-rawan ka zuhur hai

    banhon ke baale boson ki barish kahan hai ab

    KHanjar ho ya ki dashna ho ya tegh ya qalam

    'aKHtar' wo aab aur wo burrish kahan hai ab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now