aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue

Aftab Hussain

ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue

Aftab Hussain

MORE BYAftab Hussain

    ye jabr bhī hai bahut iḳhtiyār karte hue

    guzar rahī hai tirā intizār karte hue

    kalī khilī to usī ḳhush-suḳhan yaad aa.ī

    sabā bhī ab ke chalī sogvār karte hue

    tire badan ke gulistāñ yaad aatī hai

    ḳhud apnī zaat ke sahrā ko paar karte hue

    ye dil raah chamaktī thī aa.ine tarah

    guzar gayā vo use bhī ġhubār karte hue

    ḳhud apne haath haibat se kaañp jaatā huuñ

    kabhī kabhī kisī dushman pe vaar karte hue

    ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue

    guzar rahi hai tera intizar karte hue

    kali khili to usi KHush-suKHan ki yaad aai

    saba bhi ab ke chali sogwar karte hue

    tere badan ke gulistan ki yaad aati hai

    KHud apni zat ke sahra ko par karte hue

    ye dil ki rah chamakti thi aaine ki tarah

    guzar gaya wo use bhi ghubar karte hue

    KHud apne hath ki haibat se kanp jata hun

    kabhi kabhi kisi dushman pe war karte hue

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye jabr bhi hai bahut iKHtiyar karte hue Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now