Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka

Sharaf Mujaddidi

zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka

Sharaf Mujaddidi

MORE BYSharaf Mujaddidi

    zarf to dekhiye mere dil-e-shaidā.ī

    jām-e-mai ban gayā ik mast-e-ḳhud-ārā.ī

    meñ aatā hai ki phūloñ uḌā duuñ ḳhushbū

    rañg uḌā laa.e haiñ zālim tirī ra.anā.ī

    maiñ abhī un ko shanāsā-e-mohabbat kar duuñ

    kaash mauqa.a to mile un se shanāsā.ī

    bhuul jāoge yahāñ aa ke tum apnā aalam

    tum ne dekhā nahīñ gosha mirī tanhā.ī

    tum ne ka.aba to banāyā hai 'sharaf' ke dil ko

    hukm is ka.abe meñ do sab ko jabīñ-sā.ī

    zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka

    jam-e-mai ban gaya ek mast-e-KHud-arai ka

    ji mein aata hai ki phulon ki uDa dun KHushbu

    rang uDa lae hain zalim teri ranai ka

    main abhi un ko shanasa-e-mohabbat kar dun

    kash mauqa to mile un se shanasai ka

    bhul jaoge yahan aa ke tum apna aalam

    tum ne dekha nahin gosha meri tanhai ka

    tum ne kaba to banaya hai 'sharaf' ke dil ko

    hukm is kabe mein do sab ko jabin-sai ka

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. 2)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now