aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein

Zubair Amrohvi

zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein

Zubair Amrohvi

MORE BYZubair Amrohvi

    zehn pareshāñ ho jaatā hai aur bhī kuchh tanhā.ī meñ

    taaza ho jaatī haiñ choTeñ sab jaise purvā.ī meñ

    us ko to jaanā thā lekin merā kyuuñ ye haal huā

    añgnā.ī se kamre meñ aur kamre se añgnā.ī meñ

    us ke dil bhed usī ā.ankhoñ se mil saktā thā

    kis meñ himmat hai jo utre jhīloñ gahrā.ī meñ

    ek ghar ke rahne vaale ek āñgan ek duvār

    jaane kyuuñ baḌhtī jaatī hai nafrat bhaa.ī bhaa.ī meñ

    nuur basīrat baḳhshā kal tak maiñ ne jin ko 'zubair'

    farq nazar aatā hai un ko ab merī bīnā.ī meñ

    zehn pareshan ho jata hai aur bhi kuchh tanhai mein

    taza ho jati hain choTen sab jaise purwai mein

    us ko to jaana tha lekin mera kyun ye haal hua

    angnai se kamre mein aur kamre se angnai mein

    us ke dil ka bhed usi ki aaankhon se mil sakta tha

    kis mein himmat hai jo utre jhilon ki gahrai mein

    ek hi ghar ke rahne wale ek hi aangan ek hi duwar

    jaane kyun baDhti jati hai nafrat bhai bhai mein

    nur basirat ka baKHsha kal tak main ne jin ko 'zubair'

    farq nazar aata hai un ko ab meri binai mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now