Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daulat ke jhuuTe nashe me.n ho chuur

Bharat Vyas

daulat ke jhuuTe nashe me.n ho chuur

Bharat Vyas

MORE BYBharat Vyas

    Interesting Fact

    Film: Oonchi Haveli Year: 1955 Singer: Oonchi Haveli Music:  Vasant Desai Actor: Nirupa Roy,Karan Dewan,Lalita Pawar

    daulat ke jhuuTe nashe me.n ho chuur

    Gariibo.n kii duniyaa se rahte ho duur

    ajii ek din aisaa aa.egaa

    jab maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    maaTii hii o.Dhan maaTii bichhaavan

    maaTii kaa tan ban jaa.egaa

    maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    uu.nche aasmaan se bhii uu.nchii terii aas hai

    par kabhii sochaa nahii.n gintii kii terii saa.ns hai

    is kaa tuu hisaab kar anguuThaa u.ngliyo.n pe dhar

    kitnii KHarch kar rahaa bhalaa.ii me.n

    kitnii tuu lagaa rahaa buraa.ii me.n

    bhalaa.ii kaa phal rah jaa.egaa

    baaqii maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    maaTii hii o.Dhan maaTii bichhaavan

    maaTii kaa tan ban jaa.egaa

    maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    uu.nchii havelii ye uu.nche mahal

    pal bhar me.n jaa.e.nge pagle badal

    le to kisii kii du'aa.o.n kaa phal

    badii se tuu Tal aur nekii pe chal

    jaisaa bo.egaa vaisaa paa.egaa

    baaqii maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    daulat ke jhuuTe nashe me.n ho chuur

    Gariibo.n kii duniyaa se rahte ho duur

    ajii ek din aisaa aa.egaa

    jab maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    maaTii hii o.Dhan maaTii bichhaavan

    maaTii kaa tan ban jaa.egaa

    maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    uu.nche aasmaan se bhii uu.nchii terii aas hai

    par kabhii sochaa nahii.n gintii kii terii saa.ns hai

    is kaa tuu hisaab kar anguuThaa u.ngliyo.n pe dhar

    kitnii KHarch kar rahaa bhalaa.ii me.n

    kitnii tuu lagaa rahaa buraa.ii me.n

    bhalaa.ii kaa phal rah jaa.egaa

    baaqii maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    maaTii hii o.Dhan maaTii bichhaavan

    maaTii kaa tan ban jaa.egaa

    maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    uu.nchii havelii ye uu.nche mahal

    pal bhar me.n jaa.e.nge pagle badal

    le to kisii kii du'aa.o.n kaa phal

    badii se tuu Tal aur nekii pe chal

    jaisaa bo.egaa vaisaa paa.egaa

    baaqii maaTii me.n sab mil jaa.egaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now