duniyaa vaalo.n se duur jalne vaalo.n se duur
Interesting Fact
Film: Ujala Year: 1959 Singer: Lata Mangeshkar, Mukesh Music: S. D. Burman Actor: Shammi Kapoor,Mala Sinha
duniyaa vaalo.n se duur jalne vaalo.n se duur
aa jaa aa jaa chale.n kahii.n duur kahii.n duur kahii.n duur
vo pyaar kaa jahaa.n hai har dil pe mehrbaa.n hai
kuchh aur vo zamii.n hai kuchh aur aasmaa.n hai
na zulm kaa nishaa.n hai na Gam kii daastaa.n hai
har ko.ii jis ko samjhe vo pyaar kii zabaa.n hai

ulfat kii raagnii me.n mastaanii be-KHudii me.n
kho jaa.e.nge ye do dil kho.ii sii chaa.ndnii me.n
phir kyaa karegii duniyaa jal jal maregii duniyaa
taaro.n me.n do sitaare dekhaa karegii duniyaa

haatho.n me.n haath Daale KHud ko binaa sa.nbhaale
nikle.nge ham jidhar se ho jaa.e.nge ujaale
chandaa kahegaa ha.ns kar siine pe haath rakh kar
vo jaa rahe hai.n dekho do pyaar karne vaale

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.