hame.n jab se mohabbat ho ga.ii hai
Interesting Fact
Film: Border Year: 1997 Singer: Alka Yagnik,Sonu Nigam Music: Anu Malik Actor: Sunny Deol,Jackie Shroff,Suniel Shetty,Akshaye Khanna,
hame.n jab se mohabbat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat ho ga.ii hai
hai.n lipTe dhund me.n dilkash nazaare
nadii KHaamosh hai chup hai.n kinaare
hai ek chhoTii sii kashtii aur ham hai.n
chale jaate hai.n lahro.n ke sahaare
suhaanii apnii sangat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
mai.n kheto.n me.n banii pagDanDiyo.n par
tumhaaraa haath thaame chal rahaa huu.n
hai pighlaa shaam ke suuraj kaa sonaa
magar mai.n sirf tum ko dekhtaa huu.n
'ajab is dil kii haalat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
fazaa.o.n me.n na.ii ik raushnii hai
havaa.o.n me.n 'ajab sii taazgii hai
tum is vaadii me.n mujh se mil rahii ho
zamii.n lagtaa hai jaise gaa rahii hai
na.ii rut kii mahuurat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
ye saare log bilkul be-KHabar hai.n
mai.n dil hii dil me.n sapne bun rahii huu.n
nigaahe.n jo tumhaarii kah rahii hai.n
mai.n in aa.nkho.n se vo sab sun rahii huu.n
anokhii apnii chaahat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
hame.n jab se mohabbat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat ho ga.ii hai
hai.n lipTe dhund me.n dilkash nazaare
nadii KHaamosh hai chup hai.n kinaare
hai ek chhoTii sii kashtii aur ham hai.n
chale jaate hai.n lahro.n ke sahaare
suhaanii apnii sangat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
mai.n kheto.n me.n banii pagDanDiyo.n par
tumhaaraa haath thaame chal rahaa huu.n
hai pighlaa shaam ke suuraj kaa sonaa
magar mai.n sirf tum ko dekhtaa huu.n
'ajab is dil kii haalat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
fazaa.o.n me.n na.ii ik raushnii hai
havaa.o.n me.n 'ajab sii taazgii hai
tum is vaadii me.n mujh se mil rahii ho
zamii.n lagtaa hai jaise gaa rahii hai
na.ii rut kii mahuurat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
ye saare log bilkul be-KHabar hai.n
mai.n dil hii dil me.n sapne bun rahii huu.n
nigaahe.n jo tumhaarii kah rahii hai.n
mai.n in aa.nkho.n se vo sab sun rahii huu.n
anokhii apnii chaahat ho ga.ii hai
ye duniyaa KHuub-suurat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.