Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj kyun humse parda hai

Sahir Ludhianvi

aaj kyun humse parda hai

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    aaj kyuuñ ham se parda hai

    terā har rañg ham ne dekhā hai

    terā har Dhañg ham ne dekhā hai

    haath khele haiñ terī zulfoñ se

    aañkh vāqif hai tere jalvoñ se

    tujh ko har tarah āzmāyā hai

    ke khoyā hai kho ke paayā hai

    añkhḌiyoñ bayāñ samajhte haiñ

    dhaḌkanoñ zabāñ samajhte haiñ

    chūḌiyoñ khanak se vāqif haiñ

    chhāgaloñ chhanak se vāqif haiñ

    nāz-o-andāz jānte haiñ ham

    terā har raaz jānte haiñ ham

    aaj kyuuñ ham se parda hai

    muñh chhupāne se fā.eda kyā hai

    dil dukhāne se fā.eda kyā hai

    uljhī uljhī laTeñ sañvār ke aa

    husn ko aur bhī nikhār ke aa

    narm gāloñ meñ bijliyāñ le kar

    shoḳh āñkhoñ meñ titliyāñ le kar

    aa bhī ab adā se lahrātī

    ek dulhan tarah sharmātī

    nahīñ hai to raat suunī hai

    ishq kā.enāt suunī hai

    marne vāloñ zindagī hai

    is añdhere raushnī to hai

    aaj kyuuñ ham se parda hai

    aa tirā intizār kab se hai

    har nazar be-qarār kab se hai

    sham.a rah rah ke jhilmilātī hai

    saañs tāroñ Duubī jaatī hai

    agar mehrbān ho jaa.e

    har tamannā javān ho jaa.e

    aa bhī ab ki raat jaatī hai

    ek āshiq baat jaatī hai

    ḳhair ho terī zindagānī

    bhiik de de hameñ javānī

    tujh pe sau jaan se fidā haiñ ham

    ek muddat ke āshnā haiñ ham

    aaj kyuuñ ham se parda hai

    aaj kyun hum se parda hai

    tera har rang hum ne dekha hai

    tera har Dhang hum ne dekha hai

    hath khele hain teri zulfon se

    aankh waqif hai tere jalwon se

    tujh ko har tarah aazmaya hai

    pa ke khoya hai kho ke paya hai

    ankhDiyon ka bayan samajhte hain

    dhaDkanon ki zaban samajhte hain

    chuDiyon ki khanak se waqif hain

    chhagalon ki chhanak se waqif hain

    naz-o-andaz jaante hain hum

    tera har raaz jaante hain hum

    aaj kyun hum se parda hai

    munh chhupane se faeda kya hai

    dil dukhane se faeda kya hai

    uljhi uljhi laTen sanwar ke aa

    husn ko aur bhi nikhaar ke aa

    narm galon mein bijliyan le kar

    shoKH aankhon mein titliyan le kar

    aa bhi ja ab ada se lahraati

    ek dulhan ki tarah sharmati

    tu nahin hai to raat suni hai

    ishq ki kaenat suni hai

    marne walon ki zindagi tu hai

    is andhere ki raushni to hai

    aaj kyun hum se parda hai

    aa tera intizar kab se hai

    har nazar be-qarar kab se hai

    shama rah rah ke jhilmilati hai

    sans taron ki Dubi jati hai

    tu agar mehrban ho jae

    har tamanna jawan ho jae

    aa bhi ja ab ki raat jati hai

    ek aashiq ki baat jati hai

    KHair ho teri zindagani ki

    bhik de de hamein jawani ki

    tujh pe sau jaan se fida hain hum

    ek muddat ke aashna hain hum

    aaj kyun hum se parda hai

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 319)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now