Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane wo kaise log the jinko pyar se pyar mila

Sahir Ludhianvi

jaane wo kaise log the jinko pyar se pyar mila

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    jaane vo kaise log the jin ko pyaar se pyaar milā

    ham ne to jab kaliyāñ māñgīñ kāñToñ haar milā

    ḳhushiyoñ manzil DhūñDī to ġham gard milī

    chāhat ke naġhme chāhe to āh-e-sard milī

    dil ke bojh ko duunā kar gayā jo ġham-ḳhvār milā

    bichhaḌ gayā har sāthī de kar pal-do-pal saath

    kis ko fursat hai jo thāme dīvānoñ haath

    ham ko apnā saaya tak aksar bezār milā

    is ko jiinā kahte haiñ to yuuñ leñge

    uf na kareñge lab leñge aañsū leñge

    ġham se ab ghabrānā kaisā ġham sau baar milā

    jaane wo kaise log the jin ko pyar se pyar mila

    hum ne to jab kaliyan mangin kanTon ka haar mila

    KHushiyon ki manzil DhunDi to gham ki gard mili

    chahat ke naghme chahe to aah-e-sard mili

    dil ke bojh ko duna kar gaya jo gham-KHwar mila

    bichhaD gaya har sathi de kar pal-do-pal ka sath

    kis ko fursat hai jo thame diwanon ka hath

    hum ko apna saya tak aksar bezar mila

    is ko hi jina kahte hain to yun hi ji lenge

    uf na karenge lab si lenge aansu pi lenge

    gham se ab ghabrana kaisa gham sau bar mila

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 430)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now