Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya miliye aise logon se jin ki fitrat chhupi rahe

Sahir Ludhianvi

kya miliye aise logon se jin ki fitrat chhupi rahe

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    kyā miliye aise logoñ se jin fitrat chhupī rahe

    naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe

    ḳhud se bhī jo ḳhud ko chhupā.eñ kyā un se pahchān kareñ

    kyā un ke dāman se lipTeñ kyā un armān kareñ

    jin aadhī niyyat ubhre aadhī niyyat chhupī rahe

    naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe

    jin ke zulm se dukhī hai jantā har bastī har gaañv meñ

    dayā dharam baat kareñ vo baiTh ke sajī sabhāoñ meñ

    daan charchā ghar ghar pahuñche luuT daulat chhupī rahe

    naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe

    dekheñ in naqlī chehroñ kab tak jai-jai-kār chale

    ujle kapḌoñ tah meñ kab tak kaalā sansār chale

    kab tak logoñ nazroñ se chhupī haqīqat chhupī rahe

    naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe

    kya miliye aise logon se jin ki fitrat chhupi rahe

    naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

    KHud se bhi jo KHud ko chhupaen kya un se pahchan karen

    kya un ke daman se lipTen kya un ka arman karen

    jin ki aadhi niyyat ubhre aadhi niyyat chhupi rahe

    naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

    jin ke zulm se dukhi hai janta har basti har ganw mein

    daya dharam ki baat karen wo baiTh ke saji sabhaon mein

    dan ka charcha ghar ghar pahunche luT ki daulat chhupi rahe

    naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

    dekhen in naqli chehron ki kab tak jai-jai-kar chale

    ujle kapDon ki tah mein kab tak kala sansar chale

    kab tak logon ki nazron se chhupi haqiqat chhupi rahe

    naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 464)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now