Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pighli aag se saghar bhar le

Sahir Ludhianvi

pighli aag se saghar bhar le

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    pighlī aag se sāġhar bhar le

    kal marnā hai aaj mar le

    ab na kabhī ye raat Dhalegī ab na kabhī jāgegā saverā

    soch hai kis fikr hai kis is duniyā meñ kaun hai terā

    koī nahīñ jo terī ḳhabar le

    pighlī aag se sāġhar bhar le

    qudrat andhī duniyā bahrī

    kaale paḌ ga.e ḳhvāb sunahrī

    toḌ bhī de ab ḳhvāb rishta chhoḌ bhī de jazbāt se laḌnā

    aaj nahīñ to kal samjhegā mushkil hai hālāt se laḌnā

    jo hālāt karā.eñ kar le

    pighlī aag se sāġhar bhar le

    band hai nekī darvāza

    aap uThā le apnā janāza

    koī nahīñ jo bojh uThā.e apnī zinda lāshoñ

    ḳhatm kar de aaj fasāna in be-dard tamāshoñ

    jān-e-tamannā jaañ se guzar le

    pighlī aag se sāġhar bhar le

    pighli aag se saghar bhar le

    kal marna hai aaj hi mar le

    ab na kabhi ye raat Dhalegi ab na kabhi jagega sawera

    soch hai kis ki fikr hai kis ki is duniya mein kaun hai tera

    koi nahin jo teri KHabar le

    pighli aag se saghar bhar le

    qudrat andhi duniya bahri

    kale paD gae KHwab sunahri

    toD bhi de ab KHwab ka rishta chhoD bhi de jazbaat se laDna

    aaj nahin to kal samjhega mushkil hai haalat se laDna

    jo haalat karaen kar le

    pighli aag se saghar bhar le

    band hai neki ka darwaza

    aap uTha le apna janaza

    koi nahin jo bojh uThae apni zinda lashon ka

    KHatm hi kar de aaj fasana in be-dard tamashon ka

    jaan-e-tamanna jaan se guzar le

    pighli aag se saghar bhar le

    Source:

    Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 375)

    • Author: SAHIR LUDHIANVI
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now