Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo na aae na sukh sath lae yahan

Zia Jalandhari

wo na aae na sukh sath lae yahan

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    vo na aa.e sukh saath laa.e yahāñ

    vo na aa.e

    chāñd jot jaltī thī jaltī rahī

    raat shāḳhoñ aahoñ meñ chup-chāp Dhaltī rahī

    Darāte rahe kaale saa.e yahāñ

    vo na aa.e

    phuul ambar ke chuntī rahī baar baar

    maiñ pirotī rahī apnī āñkhoñ meñ tāroñ ke haar

    os ke kitne motī bichhā.e yahāñ

    vo na aa.e

    gopiyoñ meñ mahārāj hoñge kahīñ

    kisī shoḳh rādhā ke saath aaj hoñge kahīñ

    un bātoñ ke sapne chhā.e yahāñ

    vo na aa.e

    bhor ab mujh pe hañstī huī aa.egī

    har kalī mahke manDal murjhā ke gir jā.egī

    chāñd Duube to Duub jaa.e yahāñ

    vo na aa.e

    wo na aae sukh sath lae yahan

    wo na aae

    chand ki jot jalti thi jalti rahi

    raat shaKHon ki aahon mein chup-chap Dhalti rahi

    ji Daraate rahe kale sae yahan

    wo na aae

    phul ambar ke chunti rahi bar bar

    main piroti rahi apni aankhon mein taron ke haar

    os ke kitne moti bichhae yahan

    wo na aae

    gopiyon mein mahaaraj honge kahin

    ya kisi shoKH radha ke sath aaj honge kahin

    un ki baaton ke sapne hi chhae yahan

    wo na aae

    bhor ab mujh pe hansti hui aaegi

    har kali mahke manDal ki murjha ke gir jaegi

    chand Dube to ji Dub jae yahan

    wo na aae

    Source:

    Shair (Pg. 34)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now