kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai

Darshan Singh

kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai

Darshan Singh

MORE BYDarshan Singh

  kisī shām-e-sādgī sahar rañg ga.ī

  sabā ke paañv thak ga.e magar bahār aa ga.ī

  chaman jashn-gāh meñ udāsiyāñ bhī kam na thiiñ

  jalī jo koī sham-e-gul kalī dil bujhā ga.ī

  butān-e-rañg-rañg se bhare the but-kade magar

  terī adā-e-sādgī mirī nazar ko bhā ga.ī

  merī nigāh-e-tishna-lab sarḳhushī na pūchhiye

  ke jab uThī nigāh-e-nāz ga.ī pilā ga.ī

  ḳhizāñ daur hai magar vo is adā se aa.e haiñ

  bahār 'darshan'-e-hazīñ zindagī pe chhā ga.ī

  kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai

  saba ke panw thak gae magar bahaar aa gai

  chaman ki jashn-gah mein udasiyan bhi kam na thin

  jali jo koi sham-e-gul kali ka dil bujha gai

  butan-e-rang-rang se bhare the but-kade magar

  teri ada-e-sadgi meri nazar ko bha gai

  meri nigah-e-tishna-lab ki sarKHushi na puchhiye

  ke jab uThi nigah-e-naz pi gai pila gai

  KHizan ka daur hai magar wo is ada se aae hain

  bahaar 'darshan'-e-hazin ki zindagi pe chha gai

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Ghulam Ali

  Ghulam Ali

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY