aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule

Muzaffar Hanfi

aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    ā.ankhoñ meñ vīrānī hai palkeñ bhīgī baal khule

    be-vaqt pashemāñ kyuuñ hai ham par bhī kuchh haal khule

    tark-e-vafā par sochā thā hāfiz-sāhib se baat karūñ

    ab Dartā huuñ jaane kaisī ulTī sīdhī faal khule

    lākhoñ haq maar chuke ho chain kahāñ se pāoge

    paidal aage sarkāo to farzīñ bhī chaal khule

    bātoñ se to nāseh ko ham sīdhā-sāda samjhe the

    vo to ik din mai-ḳhāne meñ hazrat ke ahvāl khule

    fariyādoñ ne aur baḌhā muddat bad-unvānī

    baazū phailāne se shāyad bandhan TūTeñ jaal khule

    hastī is bhūl-bhulayyāñ meñ jab tham kar sochā to

    ik pechīda lamhe meñ sad-bāb-e-māh-o-sāl khule

    aap 'muzaffar'-hanafī se mil kar shāyad māyūs na hoñ

    dil ke saaf basīrat gahrī zehan rasā a.amāl khule

    aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule

    tu be-waqt pasheman kyun hai hum par bhi kuchh haal khule

    tark-e-wafa par socha tha hafiz-sahib se baat karun

    ab Darta hun jaane kaisi ulTi sidhi fal khule

    lakhon ka haq mar chuke ho chain kahan se paoge

    paidal aage sarkao to farzin ki bhi chaal khule

    baaton se to naseh ko hum sidha-sada samjhe the

    wo to ek din mai-KHane mein hazrat ke ahwal khule

    fariyaadon ne aur baDha di muddat bad-unwani ki

    bazu phailane se shayad bandhan TuTen jal khule

    hasti ki is bhul-bhulayyan mein jab tham kar socha to

    ek pechida lamhe mein sad-bab-e-mah-o-sal khule

    aap 'muzaffar'-hanafi se mil kar shayad mayus na hon

    dil ke saf basirat gahri zehan rasa aamal khule

    Source:

    kamaan (Pg. 187)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now