Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aae kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par

Jan Nisar Akhtar

aae kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    aa.e kyā kyā yaad nazar jab paḌtī in dālānoñ par

    us kāġhaz chipkā denā ghar ke raushan-dānoñ par

    aaj bhī jaise shāne par tum haath mire rakh detī ho

    chalte chalte ruk jaatā huuñ saarī dūkānoñ par

    barkhā to baat chhoḌo chanchal hai purvā.ī bhī

    jaane kis sabz dupaTTā pheñk ga.ī hai dhānoñ par

    shahr ke tapte fuTpāthoñ par gaañv ke mausam saath chaleñ

    būḌhe bargad haath rakh deñ mere jalte shānoñ par

    saste dāmoñ le to aate lekin dil thā bhar aayā

    jaane kis naam khudā thā pītal ke gul-dānoñ par

    us kyā man-bhed batā.ūñ us kyā andāz kahūñ

    baat bhī merī sunñā chāhe haath bhī rakkhe kānoñ par

    aur bhī siina kasne lagtā aur kamar bal khā jaatī

    jab bhī us ke paañv phisalne lagte the Dhalvānoñ par

    sher to un par likkhe lekin auroñ se mansūb kiye

    un ko kyā kyā ġhussa aayā nazmoñ ke unvānoñ par

    yaaro apne ishq ke qisse yuuñ bhī kam mash.hūr nahīñ

    kal to shāyad novel likkhe jaa.eñ in rūmānoñ par

    aae kya kya yaad nazar jab paDti in dalanon par

    us ka kaghaz chipka dena ghar ke raushan-danon par

    aaj bhi jaise shane par tum hath mere rakh deti ho

    chalte chalte ruk jata hun sari ki dukanon par

    barkha ki to baat hi chhoDo chanchal hai purwai bhi

    jaane kis ka sabz dupaTTa phenk gai hai dhanon par

    shahr ke tapte fuTpathon par ganw ke mausam sath chalen

    buDhe bargad hath sa rakh den mere jalte shanon par

    saste damon le to aate lekin dil tha bhar aaya

    jaane kis ka nam khuda tha pital ke gul-danon par

    us ka kya man-bhed bataun us ka kya andaz kahun

    baat bhi meri sunna chahe hath bhi rakkhe kanon par

    aur bhi sina kasne lagta aur kamar bal kha jati

    jab bhi us ke panw phisalne lagte the Dhalwanon par

    sher to un par likkhe lekin auron se mansub kiye

    un ko kya kya ghussa aaya nazmon ke unwanon par

    yaro apne ishq ke qisse yun bhi kam mashhur nahin

    kal to shayad nowel likkhe jaen in rumanon par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now