aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha

Shaikh Zahuruddin Hatim

aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

  aage kyā tum jahāñ meñ koī mahbūb na thā

  kyā tumhīñ ḳhuub bane aur koī ḳhuub na thā

  in dinoñ ham se jo vahshī tarah bhaḌko ho

  ye to milne tumhāre kabhū uslūb na thā

  nāma-bar dil tasallī ke liye bhejūñ huuñ

  varna ahvāl mirā qābil-e-maktūb na thā

  tāqat ab taaq huī sabr-o-shakebā.ī

  kab talak sabr kare dil mirā ayyūb na thā

  ġhalba-e-ishq ne 'hātim' ko pachhāḌā āḳhir

  zor meñ apne vo itnā bhī to maġhlūb na thā

  aage kya tum sa jahan mein koi mahbub na tha

  kya tumhin KHub bane aur koi KHub na tha

  in dinon hum se jo wahshi ki tarah bhaDko ho

  ye to milne ka tumhaare kabhu uslub na tha

  nama-bar dil ki tasalli ke liye bhejun hun

  warna ahwal mera qabil-e-maktub na tha

  taqat ab taq hui sabr-o-shakebai ki

  kab talak sabr kare dil mera ayyub na tha

  ghalba-e-ishq ne 'hatim' ko pachhaDa aaKHir

  zor mein apne wo itna bhi to maghlub na tha

  Source :
  • Book : Diwan Zadah (Pg. 126)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY