Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh

Arsh Siddiqui

aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh

Arsh Siddiqui

MORE BYArsh Siddiqui

    Interesting Fact

    Seep, Karachi 1971

    aah bārgah-e-husn meñ jalvoñ asar dekh

    had se na guzar zabt meñ ai zabt-e-nazar dekh

    mat pūchh ki kyā guzrī dil-sho.ala-sifat par

    is dast-e-hinā.ī meñ mirā dāman-e-tar dekh

    us tamannā.ī hai mat Dar dil-e-nādāñ

    ummīd nahīñ phir bhī vo kahtā hai to mar dekh

    ye shahr hai ḳhema hai dushman sipah

    āvāz ke zaḳhmoñ se lahū hai mirā sar dekh

    kyuuñ bahr-e-ḳhamoshī meñ hai misl-e-sadā tañg

    hasrat koī baaqī hai to ik baar ubhar dekh

    shāyad tire hisse meñ ho motī muqaddar

    ai qatra-e-jāñ aaj samundar meñ utar dekh

    kyuuñ paañv pasāre paḌā hai sar-e-rāhe

    kyā saḳht safar hai zarā saa.e se idhar dekh

    shāyad ho idhar 'arsh' koī chashma-e-haivāñ

    ik baar hastī ke bayābāñ se guzar dekh

    aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh

    had se na guzar zabt mein ai zabt-e-nazar dekh

    mat puchh ki kya guzri dil-shoala-sifat par

    is dast-e-hinai mein mera daman-e-tar dekh

    tu us ka tamannai hai mat Dar dil-e-nadan

    ummid nahin phir bhi wo kahta hai to mar dekh

    ye shahr hai ya KHema hai dushman ka sipah ka

    aawaz ke zaKHmon se lahu hai mera sar dekh

    kyun bahr-e-KHamoshi mein hai tu misl-e-sada tang

    hasrat koi baqi hai to ek bar ubhar dekh

    shayad tere hisse mein ho moti ka muqaddar

    ai qatra-e-jaan aaj samundar mein utar dekh

    kyun panw pasare tu paDa hai sar-e-rahe

    kya saKHt safar hai zara sae se idhar dekh

    shayad ho idhar 'arsh' koi chashma-e-haiwan

    ek bar tu hasti ke bayaban se guzar dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now