Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi

Meer Hasan

aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi

Meer Hasan

MORE BYMeer Hasan

    aahoñ se mire ghar meñ havā garm rahegī

    maiñ jā.ūñgā to bhī mirī garm rahegī

    bharte raheñge nafas-e-sard hazāroñ

    jab tak ki tarī ān-o-adā garm rahegī

    jalnā mire tab dil lagegā ye Thikāne

    sohbat tarī jab mujh se sadā garm rahegī

    choTī meñ dil-soḳhta ko gūñdh ke pyāre

    mat phek qifā par ki qifā garm rahegī

    bulbul na mujhe dījiyo to naale taklīf

    varna asar is ke se sabā garm rahegī

    jab tak nahiñ to duḳhtar-e-raz ko rakhūñgā

    kuchh to ye baġhal merī bhalā garm rahegī

    ushshāq ko tarġhīb-e-mohabbat karegā

    jab tak hai 'hasan' bazm-e-vafā garm rahegī

    aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi

    main jaunga to bhi meri ja garm rahegi

    bharte hi rahenge nafas-e-sard hazaron

    jab tak ki tari aan-o-ada garm rahegi

    jalna mere tab dil ka lagega ye Thikane

    sohbat tari jab mujh se sada garm rahegi

    choTi mein dil-soKHta ko gundh ke pyare

    mat phek qifa par ki qifa garm rahegi

    bulbul na mujhe dijiyo to nale ki taklif

    warna asar is ke se saba garm rahegi

    jab tak nahin to duKHtar-e-raz hi ko rakhunga

    kuchh to ye baghal meri bhala garm rahegi

    ushshaq ko targhib-e-mohabbat hi karega

    jab tak hai 'hasan' bazm-e-wafa garm rahegi

    Source:

    Deewan-e-Meer Hasan (Pg. 142)

    • Author: Meer Hasan
      • Edition: 1912
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now