Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki

Muneer Niyazi

aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    aa.ī hai ab yaad kyā raat ik biite saal

    yahī havā thī baaġh meñ yahī sadā ghaḌiyāl

    mahak ajab ho ga.ī paḌe paḌe sandūq meñ

    rañgat phīkī paḌ ga.ī resham ke rūmāl

    shahr meñ Dar thā maut chāñd chauthī raat ko

    īñToñ is khoh meñ dahshat thī bhauñchāl

    shaam jhukī thī bahr par pāgal ho kar rañg se

    tasvīr thī ḳhvāb meñ mere kisī ḳhayāl

    umr ke saath ajiib ban jaatā hai aadmī

    hālat dekh ke dukh huā aaj us parī-jamāl

    dekh ke mujh ko ġhaur se phir vo chup se ho ga.e

    dil meñ ḳhalish hai aaj tak is an-kahe savāl

    aai hai ab yaad kya raat ek bite sal ki

    yahi hawa thi bagh mein yahi sada ghaDiyal ki

    mahak ajab si ho gai paDe paDe sanduq mein

    rangat phiki paD gai resham ke rumal ki

    shahr mein Dar tha maut ka chand ki chauthi raat ko

    inTon ki is khoh mein dahshat thi bhaunchaal ki

    sham jhuki thi bahr par pagal ho kar rang se

    ya taswir thi KHwab mein mere kisi KHayal ki

    umr ke sath ajib sa ban jata hai aadmi

    haalat dekh ke dukh hua aaj us pari-jamal ki

    dekh ke mujh ko ghaur se phir wo chup se ho gae

    dil mein KHalish hai aaj tak is an-kahe sawal ki

    Source:

    kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 448)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now