aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

Zia Jalandhari

aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

Zia Jalandhari

MORE BYZia Jalandhari

    aaj mahfil sard paḌī hai aaj dard farāvāñ hai

    koī to dil bāteñ chheḌo yaaro mahfil-e-yārāñ hai

    mere har ādarsh aalam ab to ālam-e-vīrāñ hai

    dil meñ terī tamannā jaise mauj-e-reg-e-bayābāñ hai

    paañv thakan se chuur haiñ lekin dil meñ sho.ala-e-imkāñ hai

    mere liye ik karb-e-musalsal terā jamāl-e-gurezāñ hai

    mujh se milne ke ḳhvāhāñ ho mil kar rone se hāsil

    phir vo aag bhaḌak uTThegī ab jo raakh meñ pinhāñ hai

    ain-ḳhizāñ meñ havā ne shāyad naam liyā hai bahāroñ

    Tahnī Tahnī kaañp uTThī hai pattā pattā larzāñ hai

    aa to ga.e haiñ aane vaale kaise istiqbāl kareñ

    ab vo ābādī suunī hai ab vo gharauñdā vīrāñ hai

    tere dukh ko kar ham to apnā dukh bhī bhuul ga.e

    kis ko ḳhabar thī terī ḳhamoshī tah-dar-tah ik tūfāñ hai

    aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

    koi to dil ki baaten chheDo yaro mahfil-e-yaran hai

    mere har aadarsh ka aalam ab to aalam-e-viran hai

    dil mein teri tamanna jaise mauj-e-reg-e-bayaban hai

    panw thakan se chur hain lekin dil mein shoala-e-imkan hai

    mere liye ek karb-e-musalsal tera jamal-e-gurezan hai

    mujh se milne ke KHwahan ho mil kar rone se hasil

    phir wo aag bhaDak uTThegi ab jo rakh mein pinhan hai

    ain-KHizan mein hawa ne shayad nam liya hai bahaaron ka

    Tahni Tahni kanp uTThi hai patta patta larzan hai

    aa to gae hain aane wale kaise istiqbaal karen

    ab wo aabaadi suni hai ab wo gharaunda viran hai

    tere dukh ko pa kar hum to apna dukh bhi bhul gae

    kis ko KHabar thi teri KHamoshi tah-dar-tah ek tufan hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 158)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now