Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHir wo iztirab ke din bhi guzar gae

Varis Kirmani

aaKHir wo iztirab ke din bhi guzar gae

Varis Kirmani

MORE BYVaris Kirmani

    āḳhir vo iztirāb ke din bhī guzar ga.e

    jab dil-e-harīf-e-ātish-e-qahr-o-itāb thā

    jaañ dostoñ chāragarī se laboñ pe thī

    sar dushmanoñ sañg-zanī se azaab thā

    dāman-e-sāgān kū-e-mohabbat se taar taar

    chehra ḳharāsh-e-dast-e-junūñ se ḳharāb thā

    vaañ e'timād-e-mashq-e-siyāsat had na thī

    yaañ e'tibār-e-nāla-e-dil be-hisāb thā

    har baat sūfiyoñ tarah pech-o-ḳham liye

    har lafz shā.iroñ tarah intiḳhāb thā

    har jalva ek daftar āshob-e-rozgār

    har ġhamza ilm-e-fitna-garī kitāb thā

    ḳhvābīda har nazar meñ banā.e fasād-e-ḳhalq

    poshīda har ravish meñ nayā inqalāb thā

    aaj is ġhazal meñ ham pe qayāmat guzar ga.ī

    kyā garmī-e-ḳhayāl thī kyā iltihāb thā

    aaKHir wo iztirab ke din bhi guzar gae

    jab dil-e-harif-e-atish-e-qahr-o-itab tha

    jaan doston ki chaaragari se labon pe thi

    sar dushmanon ki sang-zani se azab tha

    daman-e-sagan ku-e-mohabbat se tar tar

    chehra KHarash-e-dast-e-junun se KHarab tha

    wan e'timad-e-mashq-e-siyasat ki had na thi

    yan e'tibar-e-nala-e-dil be-hisab tha

    har baat sufiyon ki tarah pech-o-KHam liye

    har lafz shairon ki tarah intiKHab tha

    har jalwa ek daftar aashob-e-rozgar

    har ghamza ilm-e-fitna-gari ki kitab tha

    KHwabida har nazar mein banae fasad-e-KHalq

    poshida har rawish mein naya inqalab tha

    aaj is ghazal mein hum pe qayamat guzar gai

    kya garmi-e-KHayal thi kya iltihab tha

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 504)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now